Jo adhore reh gai thi wo kahani sochna
Baith kar tanha faqat batain purani sochna
jab kisi sahil pay aa jae meri yaad tumhain
Kyun jazeeron ki taraf rehta hai pani sochna
Tum agar bicharne par he khush ho to chalo yun he sahi
Baith kar tanha faqat shamain suhani sochna
jab kabhi likhna kahani zeest k mouzu pe tum
kyun badal jate hain lafzoon k maani sochna |